IPL-18 MAI HYDERABAD KA HIGHEST SCORE : ISHAN KISHAN KA PEHLA IPL 100

Hello Viewers, kaise hain aap sab? IPL Season 18 ke maze to le hi rahe honge aap sab! Jaisa ki hum sab ko pata hai, aur mere last blog mein maine bataya tha ki aaj IPL Season 18 ka pehla double-header match hoga. I am sure ki aap sab ne bhi match thoda bahut dekha hoga, aur agar nahi dekha to koi baat nahi—hum aapko match ka pura haal-chaal bata denge humare is blog mein.

To chaliye, shubh kaam me deri nahi karni chahiye! Aaj ka pehla match tha Sunrisers Hyderabad (SRH) vs Rajasthan Royals (RR) ka tha, jaha RR ke captain Riyan Parag ne toss jeet kar pehle bowling ka decision liya. Baad mein shayad woh apne decision se naraaz bhi hue, kyunki SRH ki taraf se opening partnership ke liye aaye Abhishek Sharma aur Travis Head. Abhishek Sharma ne jaldi hi apni wicket gawa di, uske baad Head ke saath batting karne aaye Ishan Kishan, jo pehle Mumbai Indians (MI) ke liye khelte the, but is baar Hyderabad ke team mein ek naye avatar mein dikhe.

SRH ke batters ne stadium mein haahakaar macha diya! Travis Head aur Ishan Kishan ki dhamakedaar batting dekh kar Rajiv Gandhi International Stadium mein Hyderabad ke fans ka din ban gaya. Travis Head ki toofani 67 (31) ki pari ne fans ko jashn manane par majboor kar diya, jisme unhone 3 sixes aur 9 fours lagaye. Ishan Kishan ne stadium mein bhaukaal macha diya, unhone apne IPL Season 18 ka pehla shatak (century) banaya—106 (47)* not out! Ishan ne 11 fours aur 6 sixes lagaye. Travis Head ki wicket girne ke baad Ishan Kishan ne run rate aur badhaya, aur unka saath dene aaye Nitish Reddy (30 off 15) aur Klaasen (34 off 14). In sabhi ki dhamakedar batting ki wajah se SRH ne 20 overs mein 286 runs banakar RR ko ek vishal target diya.

Ab baari aati hai RR ke batters ki. Shuru ke overs mein hi Yashasvi Jaiswal aur captain Riyan Parag apni wickets gawa baithe. RR ke camp mein umeed ki ek kiran bane unke sabse experienced player Sanju Samson, jinhone last tak apni batting skills aur class dikhate hue team ke liye runno ki barsaat ki. Unka saath dene aaye Dhruv Jurel, jinhone dusre end se bowlers ki pitaai jari rakhi. Dono RR batters ne apna IPL Season 18 ka pehla ardh-shatak (half-century) banaya—Sanju Samson 66 (37) aur Dhruv Jurel 70 (35)—aur RR ki umeed zinda rakhi.

Lekin uske baad Adam Zampa ne Dhruv Jurel ki wicket li aur Harshal Patel ne Sanju Samson ka bhi kaam tamaam kar diya, jisse ek tarafaa match SRH ki jholi mein ja gira. Phir bhi, RR ke batters ne himmat nahi haari. Samson aur Jurel ki wickets girne ke baad Shubham Dubey aur Shimron Hetmyer ne target ke kareeb tak pahuchne ki poori koshish ki. RR ne 20 overs mein 242/6 banaye, jisme unke batters last tak fight dete rahe aur ek tarafaa match ko bhi romanchak bana diya.

Aur sabse badi baat—fans ne bahut maza liya, chahe woh SRH ke ho ya RR ke! IPL Season 18 ke double-header ka pehla match toh kamaal ka raha.

To bas, aaj ke liye itna hi! Phir milenge next blog mein, jaha hum baat karenge IPL Season 18 ke doosre double-header aur IPL history ki sabse badi rivalry—Chennai Super Kings (CSK) vs Mumbai Indians (MI) ke beech hone wale dhamakedaar match ki!

Till then…Bye Bye…Take care…Aur IPL Dekhte Rahiye aur Maze kariye

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top