IPL 2024: RCB Stuns CSK at Chepauk – A Historic Win!

Hello Viewers, Kaise hain aap sab? IPL dekh rahe hain naa? Jaisa ki aapko pata hoga, aaj IPL season ka sabse hot-favorite match tha, aur vo bhi IPL fans ki two hot-favorite teams ke beech! Jaha ek taraf the Captain Cool (MS Dhoni) aur doosri taraf the King Kohli (Virat Kohli). Aur aaj RCB ne pehli baar CSK ko unke hi home ground "Chepauk Stadium" mai hara diya!

Chaliye, bina deri kiye aapko batate hain ki yeh chamatkar kaise hua!

CSK ke captain Ruturaj Gaikwad ne toss jeet kar pehle bowling ka faisla liya aur RCB ko kam se kam runs par rokne ki planning ki.

RCB ki taraf se Phil Salt aur Virat Kohli opening partnership ke liye aaye. Phil Salt ne apni tabadtod batting se RCB ko ek zabardast start di, jabki Kohli strike rotate karke set ho rahe the. Lekin Captain Ruturaj ne Noor Ahmed ko spin attack par laya aur MS Dhoni ki lightning speed hands ne Salt ko stumping kar diya!

Salt ke out hone ke baad Devdutt Padikkal aaye aur unhone tez batting start kar di. Lekin unki dangerous batting ka full stop Ravichandran Ashwin ne laga diya. Dusri taraf Kohli steadily scoreboard badhate rahe.

Ab aayi RCB ke captain Rajat Patidar ki baari. Unhone dhamakedar batting ki aur CSK ne unhe 2 jeevan daan diye, jiska pura fayda uthakar 32 balls me 51 runs bana diye! Lekin Pathirana ke haathon Patidar out ho gaye.

Kohli set ho chuke the, lekin Noor Ahmed ne unka wicket le kar RCB ke scoreboard ki gati dheemi kar di. Jitesh Sharma (10 runs) aur Livingstone (12 runs) ne chhoti par impactful innings kheli. Lekin Tim David ne last over me hattrick sixes laga kar RCB ka total 20 overs me 197/7 tak pahucha diya!

CSK ki taraf se opening karne aaye Rachin Ravindra aur Rahul Tripathi. Pehli over daali Bhuvneshwar Kumar, jisme CSK ka score 8/0 raha. Lekin dusri over me Josh Hazlewood aaye aur unhone Rahul Tripathi ka wicket le kar CSK ko pehla jhatka diya.

RCB ke disciplined aur satik bowling ki wajah se CSK match me wapas nahi aa paya. CSK ke taraf se Rachin Ravindra ne sabse zyada 41 runs (31 balls) banaye, lekin baaki batters RCB ke bowling attack ke saamne tik nahi paaye.

Halanki, fans CSK ki haar se jyada MS Dhoni ki 16 balls me 30 runs ki shandaar batting dekhkar khush the!

Aur isi ke sath RCB ke fans bhi bahut jyada khush the kyunki Chennai ko unke hi home ground (Chepauk Stadium) me haraya tha. Saath hi, RCB ne IPL points table me ek aur important point darj karwa liya.

To aaj ke liye bas itna hi! Ab next match hoga Ahmedabad ke Narendra Modi Stadium me, jisme GT vs MI aamne-saamne honge. Hardik Pandya ke saamne honge Gujarat Titans ke naye captain Shubman Gill. Yeh match bhi hoga mazedaar!

Bane rahiye mere sath IPLdekho.in par aur har match ka maza lete rahiye!

Till Then….Bye Bye! Take Care! Aur IPL dekhte rahiye, maze lete rahiye!

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top