Gujarat Titans ne toss jeet kar bowling ka decision liya aur iska natija bahut dhamakedaar aur toofani raha!
Punjab Kings ki Innings:
Punjab Kings ki taraf se opening partnership ke liye aaye Priyansh Arya aur Prabhsimran Singh. Gujarat Titans ko Rabada ne dilaayi pehli safalta, Prabhsimran Singh ka wicket lekar.
Uske baad aaye Punjab Kings ke captain Shreyas Iyer, jinhone toofani batting shuru ki. Unka saath dete hue Priyansh Arya ne bhi 23 balls me 47 runs ki shandaar batting ki, par Rashid Khan ke over me apna wicket gawa baithe.
Uske baad aaye Azmatullah, jinhone 16 runs banaye, lekin Sai Kishore ke over me apna wicket de baithe. Phir aaye Maxwell, jise Sai Kishore ne apni doosri hi ball pe LBW out kar diya! Sai Kishore hat-trick ball pe the, par Stoinis ne unka hat-trick tod diya. Stoinis ne 15 balls me 20 runs banakar pavilion ki raah li.
Lekin Punjab Kings ki girti wickets ka Captain Shreyas Iyer par koi asar nahi pada! Unhone toofani batting jaari rakhi aur Punjab Kings ke scoreboard par run ki raftaar badhai.
Shashank Singh ne bhi dhamakedaar batting ki aur 16 balls me 44 runs jod diye! Captain Shreyas Iyer ne 42 balls me 97 (Not Out)* ki tabah-tod innings kheli, jisme 5 chaukke aur 9 chakke shamil the. Is wajah se Punjab Kings ne Gujarat Titans ke saamne 243 ka bada target khada kar diya!
Gujarat Titans ki Innings:
Gujarat Titans ki taraf se shandar shuruaat hui Captain Shubman Gill aur Sai Sudarshan ke saath. Dono achhe se batting kar rahe the, par tabhi Maxwell ke over me Shubman Gill out ho gaye.
Uske baad aaye Jos Buttler, jinhone classic batting se Gujarat Titans ko balanced start diya. Match GT ke haath me lag raha tha, par Marco Jansen ne Buttler ka wicket le liya! Butler ne 33 balls me 54 runs banaye.
Is wicket ke baad lagne laga ki Gujarat Titans ke haath se match fisal gaya. Rutherford ne bhi 28 balls me 46 runs ki shandaar innings kheli, par Punjab Kings ne apni pehli jeet fix kar li!
Aakhri moment tak Gujarat Titans ne bahut koshish ki, par 11 runs se haar gaye aur Punjab Kings ne IPL 2025 me apni pehli jeet hasil kar li!
Agle Match ka Update:
Ab IPL 2025 ka agla match hone wala hai Rajasthan Royals (RR) vs Kolkata Knight Riders (KKR) ke beech! Dono teams pehla match haar chuki hain, toh kaun karega comeback? Yeh dekhna hoga mazedaar!
Till Then….Bye Bye Take Care….Aur IPL dekhna naa bhuliye aur maze lootiye jee bhar ke…..