IPL-2025 Match-9 : Gujarat Titans ki Shaandar Jeet : Prasidh Krishna Bane POTM (Player of the Match)
Hello Viewers, Swagat hai aap sab to jaisa ke aap sab ko pata hai ki kal Ahmedabad ke Narendra Modi Stadium mai Gujarat Titans ki shandar jeet hui jaha par GT ke bowlers ne bataya apni bowling ka jaadu. To chaliye subh kam me deri naa karte hue shuru karte hai.
Gujarat Titans ke captain Shubhman Gill aur Mumbai Indians ke captain Hardik Pandya ke beech toss hua jaha par mumbai indians ke captain Hardik Pandya nai toss jeet kar pehle bowling karne ka faisla liya aur Gujarat Titans ko batting ka mauka diya.
Gujarat Titans ki taraf sai ballebaaji karne aaye captain shubhman Gill aur unka sath dene aaye Sai Sudarshan. Dono ne batting karke ke Gujarat Titans ko pehele 6 over mai 66 runs ki achi shuruaat dilaayi jaha par captain Gill aur Sai Sudarshan ne achi shuruaat dilwaayi. Uske baad captain Hardik Pandya ne bowling ki kaman sambhali aur apni pehli hi over mai captain Gill ki wicket chatkayi aur GT ko diya pehla jhatka lekin Gill ki wicket ki bharpaai dusri chor se Sai Sudarshan kar rahe the jisse ki GT ke scoreboard par lagatar runno ki raftaar badhti jaa rahi thi.
Sai Sudarshan ki shaandar batting ko rokne ke liye captain pandya ne apne sabse khatarnak aur experienced bowler Trent Boult ko over ke liye bulaya jaha par jis kam ke liye boult ko bulaya tha unhone vo kaam krdiya aur khatarnak lagate hui Sai Sudarshan ki paari ko khatm kiya LBW out karke. Lekin tab tak Sai Sudarshan ne apna kaam kar diya tha aur GT ko ek badhiya shuruat de chuke the.
Sai Sudarshan nai 41 balls mai shaandar 63 runs banakar apna ardh shatak banaya. Sai sudarshan ki wicket ke baad Jos Buttler ne apni classic batting se GT ki scoreboard par phir se run aane lage aur unhone 24 balls mai shaandar 39 run ki ballebaze ki jiski badolat GT titans nai 20 over mai 196 runs ka target diya jaha last ke kuch over mai Mumbai Indians ke Bowlers ne phir se comeback kiya aur GT ko 200 runs ke ander ki roka.
Ab baari thi Mumbai ke batting performance ki jaha par hum dekhenge ki kaise GT ke bowler ne apni shaandar Bowling se iss match ko jeeta aur sath mai dekhenge Prasidh krishna ka POTM wala performance.
Ab baari thi Mumbai ke batting performance ki jaha par hum dekhenge ki kaise GT ke bowler ne apni shaandar Bowling se iss match ko jeeta aur sath mai dekhenge Prasidh krishna ka POTM wala performance.
GT ke taraf se bowling attack ke liye aaye pehli over mai aaye Siraj aur unke saamne the Rohit sharma jo aaj bade ache batting ke mood mai lag rahe the aur pehle do ball mai siraj ko do lagatar four maarne ke baad over ki 4th ball mai hi Rohit Sharma ko clean bowled karke diya Mumbai Indians ko pehla jhatka aur bhot bhaari wala jhataka.
Rohit Sharma ke jaldhi out hoke ke crease par aaye Tilak Verma jinhone Rickelton ke sath milkar dhimmi shuruaat dilaayi aur sath me MI ke scoreboard par thode bhot runs bhi laagaye. Iss baar Gill ne phirse Siraj ko over daalne ke liye bulaya jo bhot achi bowling kar rahe the aur jis maksad ke liye gill ne bulaya vo Siraj ne pura bhi kiya aur Rickelton ki wicket leke MI ko diya dusra jhatka.
MI Ko shuruaat ke overs mai hi 2 jhatke de kar GT nai match ko apni taraf kar liya ab MI ke taraf se captain Suryakumar Yadav crease par aaye aur aate hi Tilak Verma sath milkar MI ko abhi bhi game mai baanye rakha. Jab laga ki Mi set ho raha hai tabhi GT ke captain gill nai apni dusri strategy apnaai aur bowling attack ke liye bullaya Prasidh Krishna ko Jinhone aate hi Tilak Verma ka wicket chatkaya aur GT ko phir se jeet ke karib le gye.
MI ki batting mai ek chor se SuryaKumar Yadav apni batting se scoreboard par run laga rahe the to dusri aur GT ke Discipline aur achi bowling attack se wickets girte jaa rahe the. Robin minz ke sirf 3 runs bana apni wicket de di Sai kishore ko aur ab aaye batting ke liye Captain hardik Pandya Jaha par beech ke over sai kishore aur hardik pandya ke beech mai thodi takraar dikhaayi.
GT ke lagatar achi bowling aur Prasidh krishna ki 18-2 ke spell ki badolat GT nai bhot asaani se Jeet liya aur Mumbai Indians ko Saheni Padi season ki lagatar dusri haar. Jaha par SuryaKumar Yadav ne banaye 28 balls mai 48 runs.
To isi ke sath Gujarat Titans ne shaandar 36 runs se iss match ko jeeta jaha par Prasidh Krishna ne apni Bowling se MI ke batters ko roka aur asani match ko jeet liya.
To chaliye ab hum chalte haii season ke dusre double header ke taraf jo hogi Delhi Capitals aur Sunrisers Hyderabad ke beech mai Vishakapatnam nai dupher 3:30 baje se. To bane rahiye humare sath IPLdekho.in par har match ka haalchal jaanne ke liye.
Till Then...Bye Bye Take care...Aur IPL dekhte rahiye aur maze lete rahiye.....